Chandrabhan Khayal

zindagani ranj aur gham ke siwa kuchh bhi nahin

Chandrabhan Khayal

Babai, Madhya Pradesh, India

1946
zindagānī rañj aur ġham ke sivā kuchh bhī nahīñ
uf ki har-dam sog-o-mātam ke sivā kuchh bhī nahīñ
roz-o-shab apne guzar jaanā dayār-e-ġhair meñ
dāstān-e-azm-e-mohkam ke sivā kuchh bhī nahīñ
kaun dahshat-gard hai aur kaun hai dahshat-zada
ye sab ik ib.hām-e-paiham ke sivā kuchh bhī nahīñ
gūñjtī hai ḳhāmushī har-dam jo mere chār-sū
dar-haqīqat shor-e-ālam ke sivā kuchh bhī nahīñ
tum jise samjhe ho duniyā us ke āñchal ke tale
gesuoñ ke pech aur ḳham ke sivā kuchh bhī nahīñ
dekhtā rahtā hai bandoñ par musalsal saḳhtiyāñ
kyā ḳhudā ik ism-e-āzam ke sivā kuchh bhī nahīñ
devtā sī fikr aur tarz-e-amal ke bāvajūd
aadmī bas ibn-e-ādam ke sivā kuchh bhī nahīñ
Top Urdushayar.com