chilchilātī dhuup sar par aur tanhā aadmī
aah ye ḳhāmosh patthar aur tanhā aadmī
jis tarah ik barf ke Tiile pe jaltī ho chitā
ye pighaltā mom sā ghar aur tanhā aadmī
is hisār-e-ḳhāmushī meñ barsar-e-paikār haiñ
tez āvāzoñ ke lashkar aur tanhā aadmī
kyā usī kā naam hai ra.anā.ī-e-bazm-e-hayāt
tañg kamra sard bistar aur tanhā aadmī
kis tarah ābād hogī dil kī suunī kā.enāt
Dūbte majrūh manzar aur tanhā aadmī
haa.e un be-kār zehnoñ kī ghanī parchhā.iyāñ
uf ye sannāTe kā ajgar aur tanhā aadmī
raat ke nañge badan se ḳhvāhishoñ kī chheḌ-chhāḌ
har-ghaḌī anjām kā Dar aur tanhā aadmī