ḳhol ke andar simaT kar rah gayā maiñ
apne saa.e se bhī kaT kar rah gayā maiñ
le gayā vo chhīn kar merī javānī
us pe bas yūñhī jhapaT kar rah gayā maiñ
jab kabhī niklā julūs-e-rañg-o-nik.hat
TuuTī dīvāroñ se saT kar rah gayā maiñ
chal rahā thā vo mire shāna-ba-shāna
ḳhud hī us se duur haT kar rah gayā maiñ
us ne muTThī-bhar mujhe ūñchā kiyā jab
aur bhī ik haath ghaT kar rah gayā maiñ
chaah thī ghul jā.ūñ saare manzaroñ meñ
haif kuchh logoñ meñ baT kar rah gayā maiñ
bārhā aisā huā mahsūs jaise
āsmānoñ se lipaT kar rah gayā maiñ