Imdad Ali Bahr

kabhi to dekhe hamari araq-fishani dhup

Imdad Ali Bahr

1810-1878
kabhī to dekhe hamārī araq-fishānī dhuup
jale bhavoñ pe kare apnī mehrbānī dhuup
hamāre daaġh ko jab āftāb ne dekhā
huā ye zard nazar aa.e za.afrānī dhuup
tap-e-firāq vo bad hai chaḌhe jo sūraj ko
pighal ke barf kī sūrat ho paanī paanī dhuup
safar saqar hai hazāroñ balā.eñ sar par haiñ
hai ek un meñ se āseb-e-āsmānī dhuup
tah-e-sahāb rahe āftāb-e-roz-e-firāq
shuāoñ se na kare mujh pe teġh-rānī dhuup
kaTe jo raat bhī zaḳhmī-e-hijr ko to kyā
hai maar Dālne ko chāñdnī kī saanī dhuup
rahe shagufta ham is tarah jaise aag ke phuul
kabhī na dasht-navardī meñ ham ne paanī dhuup
safed baal hue jaise tevar aate haiñ
bahut za.iif ko dete hai sargirānī dhuup
hameñ to fasl-e-zamistāñ bahut ḳhush aatī hai
vo ThanDī ThanDī havā aur vo suhānī dhuup
lagā.e abr kā lukkā na kis tarah chhatrī
kare na chāñd se rañgat ko āsmānī dhuup
ajab nahīñ gul-e-ruḳhsār sausanī ho jaa.eñ
bahār-e-husn ko hai āfat-e-ḳhizānī dhuup
amiir shāl-doshāloñ meñ garm rāhat-o-aish
ġharīb ke liye jāḌoñ meñ zindagānī dhuup
zarā sī garm havā meñ ye muñh banātī haiñ
na kar sakegī guloñ kī mizāj-dānī dhuup
muvāfaqat na kabhī sard-o-garm meñ hogī
hai chāñdnī mirī piirī tirī javānī dhuup
shabāb yaad dilāte hai sar-safedī-e-'bahr'
hai āftāb-e-javānī kī ye nishānī dhuup
Top Urdushayar.com