Chandrabhan Khayal

daulat-e-haq mujhko hasil ho gai hai

Chandrabhan Khayal

Babai, Madhya Pradesh, India

1946
daulat-e-haq mujh ko hāsil ho ga.ī hai
zindagī ab aur mushkil ho ga.ī hai
ab nahīñ āsān duniyā se guzarnā
is kī parchhā.īñ muqābil ho ga.ī hai
log manzil kī taraf lapke haiñ lekin
bhiiḌ meñ ġhaflat bhī shāmil ho ga.ī hai
saath tūfān-e-havādis hai magar ab
zindagī nazdīk-e-sāhil ho ga.ī hai
dūsrī duniyāoñ kī chāhat meñ dekho
merī duniyā ḳhud se ġhāfil ho ga.ī hai
din haqā.eq se ulajhte kaT gayā phir
raat lekin nazr-e-bātil ho ga.ī hai
jab kabhī lafzoñ ko maiñ ne dī sadā.eñ
ik sadā-e-ġhaib nāzil ho ga.ī hai
Top Urdushayar.com