Chandrabhan Khayal

ghaDi-bhar KHalwaton ko aanch de kar bujh gaya suraj

Chandrabhan Khayal

Babai, Madhya Pradesh, India

1946
ghaḌī-bhar ḳhalvatoñ ko aañch de kar bujh gayā sūraj
kisī ke dard kī lai par kahāñ tak nāchtā sūraj
nigāhoñ meñ na.e andāz se phir raushnī hogī
jab ug aa.egā zehnoñ meñ hamāre ik nayā sūraj
zamīñ kā karb auj-e-āsmāñ par bhī jhalak uTThā
nasheb-e-koh par jur.at se jab jab aa milā sūraj
hamāre ghar ke āñgan meñ sitāre bujh ga.e lākhoñ
hamārī ḳhvāb gāhoñ meñ na chamkā sub.h kā sūraj
shabistāñ-dar-shabistāñ zulmatoñ kī ek yūrish hai
har ik dāman se lipTā hai laraztā hāñptā sūraj
hamāre bām-e-dar se aaj bhī lipTī hai tārīkī
hamāre āsmānoñ meñ batāo kab ugā sūraj
sunā dī dāstāñ apnī jo ham ne be-zabāñ ho kar
misāl-e-qatra shabnam bikhar kar ro paḌā sūraj
Top Urdushayar.com