kabhī jo shab kī siyāhī se nā-gahāñ guzre
ham ahl-e-zarf har ik soch par garāñ guzre
nigāh-o-dil se miTā deñ jo tishnagī kā azaab
vo ābshār ke dhāre abhī kahāñ guzre
ġham āfrīñ thā musalsal sukūt-e-shahar-e-habīb
ham is galī se magar phir bhī shādmāñ guzre
shikastagī kī tilismī fazā na.ī to nahīñ
yahāñ to aise ka.ī daur imtihāñ guzre
nazar meñ shoḳh shabīheñ liye hue hai sahar
abhī na koī idhar se dhuāñ dhuāñ guzre
tamām koh kashākash thā mere sar pe 'ḳhayāl'
agarche aur bhī duniyā meñ saḳht jaañ guzre