Chandrabhan Khayal

justuju ke panw ab aaram sa pane lage

Chandrabhan Khayal

Babai, Madhya Pradesh, India

1946
justujū ke paañv ab ārām sā paane lage
ab hamāre paas bhī kuchh rāste aane lage
vaqt aur hālāt par kyā tabsira kiije ki jab
ek uljhan dūsrī uljhan ko suljhāne lage
shahr meñ jurm-o-havādis is qadar haiñ āj-kal
ab to ghar meñ baiTh kar bhī log ghabrāne lage
dil meñ aa baiThā hai dekho dūriyoñ kā devtā
ham jamā.at ke tasavvur se bhī uktāne lage
tum kisī mazlūm kī āvāz ban kar gūñjnā
yaad merī jab tumheñ shiddat se taḌpāne lage
le rahā hai dard añgḌā.ī uThā vo ehtijāj
zaḳhm-ḳhurda sab parinde pañkh phailāne lage
kaam aisā kyuuñ kiyā jaa.e ki jis ke ba.ad meñ
aadmī apne kiye par aap pachhtāne lage
Top Urdushayar.com