Imdad Ali Bahr

aise pur-nur-o-ziya yar ke ruKHsare hain

Imdad Ali Bahr

1810-1878
aise pur-nūr-o-ziyā yaar ke ruḳhsāre haiñ
jin ke aage mah-o-ḳhurshīd bhī do taare haiñ
koī in āñkhoñ se is sabza-e-ḳhat ko pūchhe
ye vo kāñTe haiñ ki palkoñ se sivā pyāre haiñ
koī sabqat na kabhī ḳhaal se jitne ho bacho
saañp gesū-e-siyah-fām se man haare haiñ
kyuuñ kar añgiyā meñ na ho sūrat-e-jauzā paidā
gore gore tire pistāñ haiñ ki mah-pāre haiñ
fasl-e-gul aa.e kalī koī na koī chaTke
aaj murġhān-e-sahar baaġh meñ chahkāre haiñ
ishq-e-atfāl-e-chaman meñ haiñ anādil betāb
āshiyānoñ kā ye aalam hai ki gahvāre haiñ
qatl kartā hai mujhe kyuuñ shab-e-furqat ḳhāmosh
ai mo.azzin mad-e-takbīr nahīñ aare haiñ
ek din parcha lagā.eñge nakīrain zarūr
ye farishte nahīñ aḳhbār ke harkāre haiñ
ḳhāl-e-mushkīñ ne dil aisā hī jalāyā hai ki bas
ko.eloñ par bhī ye dhokā hai ki añgāre haiñ
ḳhvān-e-ne.amat se kabhī ḳhat na uThā.eñge baḳhīl
maal khā saktī haiñ taqdīr ne muñh maare haiñ
na sazā-vār-e-hazar huuñ na mubārak hai safar
mere palle pe na sābit haiñ na sayyāre haiñ
rañg gulzār kā shabnam sā uḌā jaatā hai
rū-ba-rū tere hazārī nahīñ favvāre haiñ
vaah kyā yaar ke hoñToñ kī maiñ tārīf karūñ
jaan shīrīñ nahīñ jin se vo shakar-pāre haiñ
ḳhāna-e-ishq ke mehmāñ haiñ ham aur tadūr
daaġh haiñ ham ko nasīb aur use añgāre haiñ
'bahr' ayyām-e-judā.ī meñ na kapḌe phāḌo
ye samajh lo ki shab-e-vasl ke kaffāre haiñ
Top Urdushayar.com