Imdad Ali Bahr

gardish-e-charKH se qayam nahin

Imdad Ali Bahr

1810-1878
gardish-e-charḳh se qayām nahīñ
sub.h ghar meñ huuñ maiñ to shaam nahīñ
kabhī to muñh se boliye sāhab
be-dahan ho to kuchh kalām nahīñ
jāñ-ba-lab huuñ firāq-dil-bar meñ
sub.h jiitā rahā to shaam nahīñ
kis ke zulfoñ ke baal bikhre haiñ
mere nabzoñ meñ intizām nahīñ
roz-o-shab zikr-e-zulf-o-ārif hai
ye kahānī kabhī tamām nahīñ
kyā raqīboñ se maiñ jihād karūñ
mere hamrāh vo imaam nahīñ
terā dīvāna mar gayā shāyad
aaj galiyoñ meñ azhdahām nahīñ
hijr meñ ye sharāb hai tezāb
haath par aabla hai jaam nahīñ
kyā samajh kar ye naaz karte haiñ
amradoñ kā koī ġhulām nahīñ
valvale the shabāb tak apne
ab hamārī vo dhūm-dhām nahīñ
is taraf se haiñ sajde par sajde
us taraf se kabhī salām nahīñ
dil ko le kar alag hue aise
ki kabhī tum ko ham se kaam nahīñ
mauj dariyā-e-pā.emālī hai
us jafākār kā ḳhirām nahīñ
bosa le kar mazā milā mujh ko
hanzal us kā zaqan hai aam nahīñ
kis ke bal par vo shoḳh hai maġhrūr
ḳhat-e-shab-rañg fauj-e-shām nahīñ
'bahr' bahke hue haiñ ahl-e-dil
nashsha-e-āb-e-zar mudām nahīñ
Top Urdushayar.com