Imdad Ali Bahr

KHuda-parast hue hum na but-parast hue

Imdad Ali Bahr

1810-1878
ḳhudā-parast hue ham na but-parast hue
kisī taraf na jhukā sar kuchh aise mast hue
jinheñ ġhurūr bahut thā namāz roze par
ga.e jo qabr meñ saare vuzū shikast hue
hamāre dil meñ jo vahshat ne aag bhaḌkā.ī
sharar bhī rah ga.e pīchhe ye garm jast hue
jo apne va.ade vafā vo kare karam us kā
ki ham se to na vafā vāda-e-alast hue
ġhurūr kar ke nigāhoñ se gir ga.e maġhrūr
buland jitne hue utne aur past hue
rahā ḳhumār ki sadme se chuur shīsha-e-dil
magar na sā.il-e-mai tere mai-parast hue
lagā.e ḳhaar lagīñ TaTTiyāñ bhī mehñdī kī
ruke na bu-e-chaman laakh band-o-bast hue
ḳhizāñ meñ bhī na chhuTā dāman-e-chaman ham se
hue jo suukh ke kāñTā to ḳhār-bast hue
banā hai panja-e-qassāb dast-e-zulm un kā
sab uñgliyāñ huiiñ chhuriyāñ ye tez dast hue
habāb se bhī habīboñ ke dil meñ nāzuk-tar
nazar ke bhī jo lage Thes ye shikast hue
taḌap dikhā na ise 'bahr' māhī-e-dil kī
ġhazab huā jo vo tār-e-nigāh shast hue
Top Urdushayar.com