ShivKumar Bilgrami

bech di kyun zindagi do-chaar aane ke liye

ShivKumar Bilgrami

Hardoi, Uttar pradesh, India

1963
bech dī kyuuñ zindagī do-chār aane ke liye
ek do lamha to rakhtā muskurāne ke liye
dauḌ kar daftar ga.e bhāge vahāñ se ghar ga.e
lunch meñ fursat nahīñ hai lunch khāne ke liye
kis liye kis ke liye TaTTū bane ho raat din
aaj bhī royā hai bachcha god aane ke liye
gaañv meñ māñ-bāp tum ko yaad karte haiñ bahut
vaqt thoḌā sā nikālo gaañv jaane ke liye
kuchh samay ghar ke liye bhī ab nikālo dosto
din bahut thoḌe bache haiñ ghar bachāne ke liye
Top Urdushayar.com