imkān se bāhar kabhī āsār se aage
mahshar hai mire dīda-e-ḳhūñ-bār se aage
irfān kī had yā mire paikar kī sharārat
niklā mirā saaya mirī dastār se aage
ik jins-zada nasl hai tahzīb ke pīchhe
bāzār hai ik kūcha-o-bāzār se aage
sūraj hai shab-o-roz ta.āqub meñ vagarna
hai aur bahut raat ke asrār se aage
ham log ki manzil ke bhulāve ke giraftār
āsār se pīchhe kabhī āsār se aage