Imdad Ali Bahr

mar gae par bhi na ho bojh kisi par apna

Imdad Ali Bahr

1810-1878
mar ga.e par bhī na ho bojh kisī par apnā
ruuh ke saath huā ho tan-e-lāġhar apnā
be-tarah dil meñ bharā rahtā hai zulfoñ kā dhuāñ
dam nikal jaa.e kisī roz na ghuT kar apnā
yaar sotā nahīñ muñh kar ke hamārī jānib
kabhī karvaT nahīñ letā hai muqaddar apnā
tum jo do phuul chaḌhāo to ḳhushī ke maare
qabr khul jaa.e ye phūle tan-e-lāġhar apnā
intizām aap kī sarkār meñ yuuñ lāzim hai
band-o-bast aap kā ghar meñ rahe bāhar apnā
huur bhī tum ho nigāhoñ meñ parī bhī tum ho
ab to ai jaan dil aayā hai tumhīñ par apnā
nuur barsātī hai zulfoñ kī ghaTā chehre par
paañv us kūche meñ phislegā muqarrar apnā
niiñd furqat meñ kahāñ maut se aane vaalī
ghar se behtar hai jo takiye meñ ho bistar apnā
ḳhāna-barbād kyā ishq ne tiflī se hameñ
ki miTā baiThī gharauñde kī tarah ghar apnā
ab na kuchh bolte bantī hai na chup rahte hameñ
na dil apnā nazar aatā hai na dilbar apnā
va.ada-e-vasl agar aaj bhī puurā na huā
ye samajh lījiye va.ada hai barābar apnā
ḳhūb-rū kuchh bhī agar banda-navāzī farmā.eñ
māldāroñ ko kareñ banda-e-be-zar apnā
be galā kaaTe hue raat nahīñ kaTne kī
sadqa abrū kā diye jā.iye ḳhanjar apnā
Dor haiñ silk-e-guhar par kaheñ ash.ār ai 'bahr'
qadr-dāñ ho to sunā.eñ use jauhar apnā
Top Urdushayar.com