baat ye hai ki koī baat purānī bhī nahīñ
aur is ḳhaak meñ ab koī nishānī bhī nahīñ
ye to zāhir meñ tamavvuj thā balā kā lekin
ye badan merā jahāñ koī ravānī bhī nahīñ
yā to ik mauj-e-balā-ḳhez hai merī ḳhātir
yā ki mashkīza-e-jāñ meñ kahīñ paanī bhī nahīñ
baat ye hai ki sabhī bhaa.ī mire dushman haiñ
mas.ala ye hai ki maiñ yūsuf-e-sānī bhī nahīñ
sach to ye hai ki mire paas hī dirham kam haiñ
varna is shahr meñ is darja girānī bhī nahīñ
saare kirdār haiñ añgusht-ba-dandāñ mujh meñ
ab to kahne ko mire paas kahānī bhī nahīñ
ek benām-o-nasab sach mirā iz.hār huā
varna alfāz meñ vo sail-e-ma.ānī bhī nahīñ