kisī ke ḳhvāb ko ehsās se bāñdhā huā hai
bahut puḳhta bahut hī paas se bāñdhā huā hai
hamāre taḳht ko mashrūt kar rakkhā hai us ne
hamāre taaj ko ban-bās se bāñdhā huā hai
siyāhī umr bhar mere ta.āqub meñ rahegī
ki maiñ ne jism ko qirtās se bāñdhā huā hai
mire isbāt kī chābī ko apne paas rakh kar
mire inkār ko ehsās se bāñdhā huā hai
hamāre ba.ad in ābādiyoñ kī ḳhair kiijo
samundar ham ne apnī pyaas se bāñdhā huā hai
sajā rakkhī hai us ne apnī ḳhātir ek masnad
mire āfāq ko anfās se bāñdhā huā hai
ajab pahre mire afkār par rakkhe haiñ 'ḳhālid'
ajab khaTkā mire ehsās se bāñdhā huā hai