Khalid Karrar

wurud-e-jism tha jaan ka azab hone laga

Khalid Karrar

Poonch, Jammu and Kashmir, India

1976
vurūd-e-jism thā jaañ kā azaab hone lagā
lahū meñ utrā magar zahr aab hone lagā
koī to aa.e sunā.e naved-e-tāza mujhe
uTho ki hashr se pahle hisāb hone lagā
use shubah hai jhulas jā.egā vo saath mire
mujhe ye ḳhauf ki maiñ āftāb hone lagā
phir us ke sāmne chup kī kaḌī laboñ pe lagī
mirā ye mansab-e-harf aab aab hone lagā
maiñ apne ḳhol meñ ḳhush bhī thā mutma.in bhī thā
maiñ apnī ḳhaak se niklā ḳharāb hone lagā
zarūr mujh se ziyāda hai us meñ kuchh 'ḳhālid'
mirā harīf agar fatah-yāb hone lagā
Top Urdushayar.com