hai mol-bhāo meñ bāzār meñ hai saath mire
vo ek kār-e-fanā-zār meñ hai saath mire
salīb-e-jāñ se visāl āsmāñ ke sāhil tak
har ek lazzat-e-āzār meñ hai saath mire
kabhī to hero banātā hai aur kabhī joker
har ek rañg ke kirdār meñ hai saath mire
yahī bahut hai mire jism o jaañ kā hissa hai
kahīñ to mauja-e-ḳhūñ-bār meñ hai saath mire
ajab gumān hai jaise ki sarfarāz huuñ maiñ
ajiib fitna-e-dastār meñ hai saath mire
kabhī mujhe bhī zarā mojaza-numā kartā
jo apnī zaat ke asrār meñ hai saath mire
vo dastaras meñ hai lekin nazar se ġhā.eb hai
harīf-e-jāñ koī paikār meñ hai saath mire
maiñ ik nigāh ko mahsūs kar rahā huuñ mudām
koī to reg-e-fanā-zār meñ hai saath mire
vo saare ḳheme lagātā hai phir ukhāḌtā hai
sarāb-e-manzil-o-āsār meñ hai saath mire
jo chhoḌ detā hai dasht-e-zavāl meñ tanhā
vo rel-pel meñ bāzār meñ hai saath mire