Imdad Ali Bahr

qadr-dan koi na asfal hai na aala apna

Imdad Ali Bahr

1810-1878
qadr-dāñ koī na asfal hai na a.alā apnā
na zamīn par na falak par hai Thikānā apnā
dast-e-shafqat se diyā aap ne chhallā apnā
haath bhar baḌh gayā siine meñ kaleja apnā
aa.e mastī ke din ayyām-e-bahārī aa.e
sher kī tarah lagā gūñjne sahrā apnā
na bharā jaam na saaqī ne kabhī yaad kiyā
tāq-e-nisyāñ pe dharā rahtā hai miinā apnā
dekhte bhī vo nahīñ aañkh uThā kar ham ko
saad hotā nahīñ sarkār meñ chehrā apnā
kis ke hāthoñ hadaf-e-tīr-e-balā ham na hue
dil hai mānind-e-kamāñ sab se kashīda apnā
dil-jale dūd-e-pareshāñ kī tarah haiñ barbād
ham kahīñ Thahreñ to batlā.eñ Thikānā apnā
kaun mushtāq hai ham daaġh dikhā.eñ kis ko
dekheñ ḳhud sūrat-e-tā.ūs tamāshā apnā
sharm bande kī tire haath hai ai rabb-e-karīm
na khule ḳhaak ke parde meñ bhī pardā apnā
ham ko jo rañj pahuñchte haiñ vo kis se kahiye
ham ko mehmān samajhtī nahīñ duniyā apnā
zindagī chāhiye jañgal meñ bhī kuchh ḳhauf nahīñ
ai junūñ sher kā āḳhir kabhī ghar thā apnā
turfa ḳhushkī-o-tarī kī hai hameñ sair ai 'bahr'
dasht hai apnā ġhubār ashk hai dariyā apnā
Top Urdushayar.com