sab hasīnoñ meñ vo pyārā ḳhuub hai
ek chehra jism saarā ḳhuub hai
aise mukhḌe kī balā.eñ lījiye
bholā bholā pyārā pyārā ḳhuub hai
merī mahfil meñ kabhī aate nahīñ
ġhair ke ghar meñ guzārā ḳhuub hai
donoñ āñkheñ qātil-e-ushshāq haiñ
lashkar-e-mizhgāñ saf-ārā ḳhuub hai
charḳh par tum ko chaḌhā kar dekhiye
kaun sā tāroñ meñ taarā ḳhuub hai
tum jo aa.e jism meñ jaan aa ga.ī
jaan meñ pairā tumhārā ḳhuub hai
paas apne ho agar tasvīr-e-yār
zindagānī kā sahārā ḳhuub hai
kyuuñ mileñ ham aap se chorī-chhupe
baat jo hai āshkārā ḳhuub hai
tū kahā maiñ ne to āzurda hue
ġhair kī gaalī gavārā ḳhuub hai
chāñd se baḌhtī hai āñkhoñ kī ziyā
ḳhūb-rūoñ kā nazārā ḳhuub hai
dostoñ se inhirāf achchhā nahīñ
dushmanoñ se bhī mudārā ḳhuub hai
maañg bāloñ meñ hī kyā hai āb-dār
Dūb-marne ko ye dhārā ḳhuub hai
aabrū jaatī rahegī aap kī
'bahr' ab us se kinārā ḳhuub hai