putliyoñ par tire chehre ko banāyā huā hai
sāmne aañkh ke yuuñ tujh ko sajāyā huā hai
dar-o-dīvār-e-tamaddun ko girāyā jis ne
haa.e vo hashr hamārā hī uThāyā huā hai
apnī parvāz pe nāzāñ jo uḌā phirtā hai
vo parinda bhī hamārā hī uḌāyā huā hai
do-ghaḌī aañkh lagā lo karo ehsāñ un par
tum ne ḳhvāboñ ko ka.ī din se jagāyā huā hai
zor TūTegā havā kā to kahāñ jā.egā
jis ġhubāre ko fazāoñ meñ uḌāyā huā hai
mere chille kī riyāzat kā samar dekh zarā
apne ham-zād ko pahlū meñ biThāyā huā hai