tire alāva koī dūsrā milā hī nahīñ
so tere ba.ad bahut der maiñ jiyā hī nahīñ
isī liye to kisī kaam kā nahīñ huuñ maiñ
jo kaam karne kā thā vo kabhī kiyā hī nahīñ
jahān vaale hameñ mast kah rahe haiñ to kyā
ki apnā dard kisī aur se kahā hī nahīñ
hamāre baare meñ kaise tumheñ ḳhabar hotī
tumhāre ba.ad zamāne se rābta hī nahīñ
jo merā haal tire ba.ad hai kaTe hue harf
batānā chāhtā huuñ koī pūchhtā hī nahīñ
saḌak pe haiñ ki nahīñ haiñ ajiib uljhan hai
hamārī samt koī shaḳhs dekhtā hī nahīñ
bahut se log haiñ lekin ḳhushī se tanhā huuñ
kisī kā saath zamāne mujhe ravā hī nahīñ
isī liye to badan tār-tār hai merā
jo zaḳhm lag gayā 'fā.ez' kabhī siyā hī nahīñ