Mansoor Faaiz

mana hazar sal se hun dar-ba-dar raha

Mansoor Faaiz

1979
maanā hazār saal se huuñ dar-ba-dar rahā
lekin kisī kī chaah ke zer-e-asar rahā
jo bujh ga.e charāġh zamīñ-bos ho ga.e
maiñ jal rahā thā is liye maiñ baam par rahā
dariyā ke paar saarā qabīla utar gayā
lekin vo ek shaḳhs jise ḳhud kā Dar rahā
dīvāna-vār phirtā rahā hai jo dasht dasht
āḳhir vo kis gumān ke zer-e-asar rahā
yārān-e-ḳhush-nasīb meñ hogā mirā shumār
kuchh roz tujh se dost ta.alluq agar rahā
phir apne aap kā bhī vo rah pā.egā kahāñ
kuchh der mere saath agar ham-safar rahā
āḳhir mujhe bhī tamġha-e-rusvā.ī mil gayā
jo khel khelne kā na thā khel kar rahā
'mansūr' terā naam shahīdoñ meñ aa gayā
tā-hashr varna kaun yahāñ mo'atabar rahā
Top Urdushayar.com