kuchh nahīñ kah rahī ye raat mujhe
dard se chāhiye najāt mujhe
jaane lagtā hai aisā kyuuñ mujh ko
phir girānā hai somnāt mujhe
be-niyāzī kī is bulandī par
kuchh nahīñ kahte sānehāt mujhe
jab nikaltā huuñ dā.ere se kabhī
khīñch letī hai kā.enāt mujhe
ye jahāñ maiñ sañvār jā.uñgā
raas aa.ī agar hayāt mujhe
sab taġhayyur hai jab haqīqat meñ
kise mumkin ki ho sabāt mujhe
mil ga.ī to maiñ din banā.ūñgā
raushnī se bharī davāt mujhe
chalte-phirte hue ujāle meñ
DhūñD letī hai roz raat mujhe