so ke patthar pe kabhī dekh ki sonā kyā hai
taaki ma.alūm tujhe ho ye bichhaunā kyā hai
merī tanhā.ī kisī roz jo mujh se khele
ain-mumkin hai samajh jā.ūñ khilaunā kyā hai
biij koī bhī ho vo jaḌ to pakaḌ hī legā
tai ye karnā hai ki nam ḳhaak meñ bonā kyā hai
yuuñ na hone pe mire tujh ko na hairat hogī
maiñ agar tujh ko batā duuñ ki ye honā kyā hai
zikr-e-vahshat meñ agar TuuT girī hai 'fā.ez'
chhoḌ tasbīh ke dānoñ ko pironā kyā hai