mire maulā tirā tohfa hai ye ilhām mujhe
arsh se aane lage haiñ ka.ī paiġhām mujhe
hijr meñ baiTh ke ronā hī nahīñ mujh par farz
aur bhī karne haiñ ai dost ka.ī kaam mujhe
jaise ik abr chalā aa.e barasne ke liye
aise aatī hai tirī yaad sar-e-shām mujhe
is liye ishq kī bīmārī se Dartā huuñ maiñ
ain-mumkin hai ke phir aa.e na ārām mujhe
is liye hī to ise maiñ ne banāyā tasbīh
saañs lene meñ hai āsānī tirā naam mujhe
is ko pahnā to ka.ī sabz parinde dekhe
ek darvesh ne lā kar diyā ehrām mujh