banjar zamīñ pe chādar-e-sarsabz Daal de
dariyā huuñ mujh ko jānib-e-sahrā uchhāl de
terā hī nuur un ke badan se ho jalva-gar
mere likhe hurūf ko aisā jamāl de
uTTheñ jo mere paañv to dhartī ho raqs meñ
ye kā.enāt raqs kare vo dhamāl de
hairat kī dhuup se bhī na pighle vajūd-e-barf
rabb-e-kamāl mujh ko hunar be-misāl de
merā qadam qadam ho zamānoñ meñ mo'atabar
mere nuqūsh-e-jism ko jāh-o-jalāl de
bāñdhā na ho kisī ne jise silk-e-sher meñ
merī zabān-e-fikr ko aisā ḳhayāl de
kashkol tere sāmne 'fā.ez' ne rakh diyā
rahmat-ba-dast sikke nigāhoñ se Daal de