kahīñ pe hijr kā dukh hai kahīñ visāl kā dukh
mirī jabīñ pe huā sabt har malāl kā dukh
mujhe ye Dar hai kahīñ ḳhud-kushī na kar lo tum
tumhārī ziist meñ aayā agar zavāl kā dukh
vo ik savāl ki jis kā javāb de na sake
hanūz kāTtā rahtā hai is savāl kā dukh
usī kī yaad meñ guzregī zindagī merī
jo jaate jaate mujhe de gayā kamāl kā dukh
hamārī aañkh kī putlī meñ ashk kī sūrat
chamak rahā hai kisī shahr-e-be-misāl kā dukh