Imdad Ali Bahr

aazurda ho gaya wo KHaridar be-sabab

Imdad Ali Bahr

1810-1878
āzurda ho gayā vo ḳharīdār be-sabab
dil bech kar huā maiñ gunahgār be-sabab
maiñ ne to us se aañkh laḌā.ī nahīñ kabhī
abrū ne mujh pe khīñchī hai talvār be-sabab
maiñ ne balā.eñ bhī nahīñ liiñ zulf-e-yār kī
maiñ ho gayā balā-e-giraftār be-sabab
bosa kabhī liyā nahīñ gul se ezaar kā
kyuuñ dil ke aable meñ chubhā ḳhaar be-sabab
kyuuñ uTh khaḌe hue vo bhalā maiñ ne kyā kahā
pahlū meñ baiTh kar hue bezār be-sabab
pūchhe to koī kyā mire taqsīr kyā gunāh
kartā hai kyuuñ sitam vo sitamgār be-sabab
ik raat bhī hañsā nahīñ us sham.a-rū se maiñ
aañsū mire gale ke hue haar be-sabab
kis din do-chār nargisī āñkhoñ se maiñ huā
is ishq ne kiyā mujhe bīmār be-sabab
jo un kī baat hai vo laḌakpan ke saath hai
iqrār be-jahat hai to inkār be-sabab
phāhā jagah kī daaġh kā shāyad sarak gayā
ye chashm-e-tar nahīñ hai sharar-bār be-sabab
dikhlā kī ye bahār shagūfa phulā.enge
oḌhā nahīñ do-shāla-e-gulnār be-sabab
nikle the mujh par aaj vo talvār bāñdh kar
rahgīr kushta ho ga.e do-chār be-sabab
aamad nahīñ kisī kī to kyuuñ jāgte ho 'bahr'
rahtā hai shab ko koī bhī bedār be-sabab
Top Urdushayar.com