Khalida Uzma

hamare sath ajab hi muamla hua hai

Khalida Uzma

hamāre saath ajab hī muāmla huā hai
havā Thahar sī ga.ī hai diyā jalā huā hai
usī maqām pe ik qāfila rukā huā hai
jahāñ tumhārā mirā rāsta judā huā hai
na jaane bād-e-sabā kah ga.ī hai kaan meñ kyā
ki phuul shāḳh-e-burīda pe bhī khilā huā hai
mile ik umr ke ba.ad aur is tarah se mile
vo chup hai aur hamārā bhī sar jhukā huā hai
dayār-e-mahr kī sarhad talāsh karne ko
mah o nujūm kā ik qāfila chalā huā hai
haqīqateñ to aTal haiñ badal nahīñ saktīñ
magar kisī kī tasallī se hausla huā hai
bajā.e do ke baje ek haath se taalī
muāmalāt meñ aisā kabhī bhalā huā hai
mirī umiid kā hai terī aarzū kā hai
diyā hai aur baḌī der se jalā huā hai
umiid khil sī ga.ī hai mahak uThā hai ḳhayāl
sabā kī narm sī dastak pe dil ko kyā huā hai
mahak rahā hai mire ḳhaar ḳhaar jīvan meñ
vo lamha jo abhī mujh meñ gulāb sā huā hai
Top Urdushayar.com