svād-e-ġham ho yā bazm-e-tarab kuchh bhī nahīñ hotā
zabāñ marham rakkhe yā zaḳhm ab kuchh bhī nahīñ hotā
chale aate haiñ be-mausam kī bārish kī tarah aañsū
basā-auqāt rone kā sabab kuchh bhī nahīñ hotā
jo hotā hai to bas itnā ki lafzoñ kā bharam TuuTe
suḳhan aatā hai akasr tā-ba-lab kuchh bhī nahīñ hotā
kabhī the mehrbāñ mausam kabhī sāvan barastā thā
aur ab dhartī hai saarī tishna-lab kuchh bhī nahīñ hotā
tamannā jhāñktī hai rauzan-e-zindāñ se chhup chhup kar
asīrī meñ magar anjām-e-shab kuchh bhī nahīñ hotā
qayāmat sī guzartī hai qayāmat aa nahīñ jaatī
koī be-jān ho yā jāñ-ba-lab kuchh bhī nahīñ hotā
jibillat sar uThā le to ḳhas-o-ḳhāshāk hai insāñ
baḌā ho naam yā ūñchā nasab kuchh bhī nahīñ hotā
yahāñ hotā hai bād-az-marg vāvailā bahut lekin
koī mar mar ke jab jiitā ho tab kuchh bhī nahīñ hotā
ye duniyā hai yahāñ tārīḳh hī dohrā.ī jaatī hai
anokhā kuchh nahīñ hotā ajab kuchh bhī nahīñ hotā