Khalida Uzma

wo jis ka sath nibhane ka hausla na hua

Khalida Uzma

vo jis kā saath nibhāne kā hausla na huā
bichhaḌ gayā to bhulāne kā hausla na huā
idhar udhar ke sunā.e hazār afsāne
diloñ kī baat sunāne kā hausla na huā
ye aur baat ki bā-hausla huuñ maiñ phir bhī
na.e charāg jalāne kā hausla na huā
ḳhalīj kitne zamānoñ kī kar gayā paidā
vo ik qadam ki uThāne kā hausla na huā
kitāb-e-zehn kā koī varaq bhī saada nahīñ
likhe hurūf miTāne kā hausla na huā
guzar ga.ī thī shab-e-hijr hijr meñ 'uzma'
charāg phir bhī bujhāne kā hausla na huā
Top Urdushayar.com