Imdad Ali Bahr

nahin hone ka ye KHun-e-jigar band

Imdad Ali Bahr

1810-1878
nahīñ hone kā ye ḳhūn-e-jigar band
na bāñdhī āstīn āñkhoñ pe tar band
na pūchho bebasī apnā hai vo haal
asīr-e-rishta-bar-pā murġh-e-par band
judā hotā nahīñ pahlū se dam-bhar
ye dāġh-e-dil hai yā koī jigar-band
kahīñ aisā na ho vo aa ke phir jaa.e
kisī shab band hoñ āñkheñ na dar band
yahī qāsid patā hai us ke ghar kā
udhar jā jis taraf hai rahguzar band
ye chausar ishq-bāzī kī hai ai dil
na chalnā chaal vo jis se ho ghar band
ijāzat ik taḌap kī de jo sayyād
qafas ko le uḌeñ ham murġh-e-par-band
ye hāl-e-nā-tavānī hai ki āñkheñ
khulīñ jo ek dam to dopahar band
nahīñ ye putliyāñ o chashm-e-fattāñ
tire ghar meñ haiñ do fitne nazar-band
maiñ ghabrātā huuñ mahram se tumhārī
khule dil kī girah kholo agar band
duā ye māñgtā huuñ maiñ shab-e-vasl
qayāmat tak rahī bāb-e-sahar band
ḳhudā jaane kahāñ huuñ aur kyā huuñ
khule ahvāl kyā jab ho ḳhabar band
jo haath aa.eñ use ye dāna-e-ashk
rahī musht-e-sadaf misl-e-guhar-band
likhegā hāl-e-dil ai 'bahr' kab tak
bas ab vaifar lagā maktūb kar band
Top Urdushayar.com