Imdad Ali Bahr

shor hai us sabza-e-ruKHsar ka

Imdad Ali Bahr

1810-1878
shor hai us sabza-e-ruḳhsār kā
aaj tuutī boltā hai yaar kā
kis adā se haath rakkhā qabze par
paḌ gayā putlī meñ dam talvār kā
ashk-e-be-tāsīr se huuñ aab aab
uqda huuñ maiñ āñsuoñ ke taar kā
bujh gayā merā charāġh-e-zindagī
dekh kar vo qumquma ruḳhsār kā
kis maraz kī hai davā unnāb-e-lab
ḳhatt-e-ruḳh nusḳha hai kis bīmār kā
ab kī aisī haar hai fasl-e-bahār
gul hai but-ḳhāla zabān-e-ḳhār kā
abrū-e-ġhilmāñ hai vo mehrāb-e-dar
zulf-e-hūrā saaya hai dīvār kā
lene vaale le ga.e hosh-o-havās
bik gayā saudā mire bāzār kā
jab maiñ niklā ḳhalq ne gherā mujhe
merā saudā qarz hai bāzār kā
jūu-e-jannat hai chehre sayyād kī
merī gardan par hai haq gulzār kā
āb-kārī kī ho ḳhidmat 'bahr' ko
nā-ḳhudā hai kashtī-e-mai-ḳhvār kā
Top Urdushayar.com