Krishn Murari

KHalwat mein KHayalon ki ye anjuman-arai

Krishn Murari

Jhelum, Punjab, Pakistan

1920
ḳhalvat meñ ḳhayāloñ kī ye anjuman-ārā.ī
ābād hai ab kitnā vīrāna-e-tanhā.ī
aise bhī marāhil kuchh aa.e rah-e-hastī meñ
mahsūs huā manzil ḳhud paas chalī aa.ī
tū sham-e-masarrat hai ġham-ḳhāna-e-imkāñ meñ
dam se tire qaa.em hai har bazm kī ra.anā.ī
hai yaad tirī kyā kyā mā.il-ba-karam mujh par
guzre hue lamhoñ ko jo saath liye aa.ī
pighle hue sone se ubhrīñ ka.ī tasvīreñ
dariyā ke kināroñ par jab dhuup utar aa.ī
is gulshan-e-hastī kā har rañg nirālā hai
jab rone lagī shabnam phūloñ ko hañsī aa.ī
Top Urdushayar.com