Khizr Barni

karam ho ya sitam sar apna KHam yun bhi hai aur yun bhi

Khizr Barni

karam ho yā sitam sar apnā ḳham yuuñ bhī hai aur yuuñ bhī
tirā dīvāna to sābit-qadam yuuñ bhī hai aur yuuñ bhī
jafā ho yā vafā us kā karam yuuñ bhī aur yuuñ bhī
navāzish roz-o-shab aur dam-ba-dam yuuñ bhī hai aur yuuñ bhī
bhulā deñ yā kareñ ham yād-e-ġham yuuñ bhī hai aur yuuñ bhī
kisī ke hijr meñ ḳhud chashm-e-nam yuuñ bhī hai aur yuuñ bhī
hayāt-o-maut kā maqsad samajh meñ aa nahīñ saktā
vagarna aadmī majbūr-e-ġham yuuñ bhī hai aur yuuñ bhī
milī rone se jab fursat to aañsū pī liye ham ne
mohabbat ke liye goyā bharam yuuñ bhī hai aur yuuñ bhī
baġhāvat koī kartā hai razā par hai koī qaa.il
vo hai ma.abūd us kā to karam yuuñ bhī hai aur yuuñ bhī
nigāh-e-nāz se vo dekh kar nazreñ churātā hai
hamārā dil 'ḳhizar' mashq-e-sitam yuuñ bhī hai aur yuuñ bhī
Top Urdushayar.com