ishq meñ kyā kaam kartī aql-o-dānā.ī kī baat
do-qadam aage chalī izzat se rusvā.ī kī baat
vaqt-e-mushkil ġhair kyā apne bhī dushman ban ga.e
kah gayā hai josh meñ dīvāna gahrā.ī kī baat
kaam kartā hai tasavvur kaam aatī hai nazar
be-sabab hotī nahīñ hai jalva-ārā.ī kī baat
muskurātā huuñ to āñkhoñ meñ machal jaate haiñ ashk
dard meñ ghul-mil ga.ī hai ek harjā.ī kī baat
parda-dārī kī numā.ish ho rahī hai roz-o-shab
ik tamāshā ban ga.ī hai ḳhud tamāshā.ī kī baat
ḳhud-baḳhud pairoñ se ristā hai 'ḳhizar' mere lahū
jab koī kartā hai mujh se ābla-pā.ī kī baat