Khizr Barni

ashk aankhon mein na the did ka sauda to na tha

Khizr Barni

ashk āñkhoñ meñ na the diid kā saudā to na thā
ishq se pahle kisī taur taqāzā to na thā
apne hī saaya se Dartā huuñ ilāhī tauba
is tarah se kabhī andesha-e-fardā to na thā
un se pahle bhī chaman meñ thī sahar kī raunaq
bād-e-sarsar kī javānī kā nazārā to na thā
pahle bhī chāñd sitāre the falak par maujūd
gesū-e-shab ko bahāroñ ne sañvārā to na thā
jaane kyuuñ āñkhoñ meñ aate haiñ simaT kar aañsū
sochtā huuñ kahīñ gardish meñ sitāra to na thā
yaad aate hī baḌhā un se mulāqāt kā shauq
uTh ga.e ḳhud hī qadam dil meñ irāda to na thā
maiñ ne mai-ḳhāne ke har jaam meñ garmī paa.ī
jaane kyā chiiz thī paimānoñ meñ baada to na thā
ab to har saañs pe hotā hai gumān-e-dhaḌkan
dard uThtā hī rahā hai magar aisā to na thā
aañkh jhapkī thī 'ḳhizar' nabz rukī thī ik dam
kuchh bhī kah lījiye vo dost kā jalvā to na thā
Top Urdushayar.com