Khizr Barni

jafa ke baad hua hai magar malal to hai

Khizr Barni

jafā ke ba.ad huā hai magar malāl to hai
ḳhushā-nasīb unheñ phir mirā ḳhayāl to hai
adū kī bazm-e-tarab meñ sharīk kyā hote
mizāj-e-dost meñ ab tak bhī ishti.āl to hai
zabāñ pe harf-o-hikāyāt kyā zarūrī haiñ
garebāñ chaak dikhānā hī arz-e-hāl to hai
kisī kī rāh-e-mohabbat meñ gāmzan honā
hayāt kā yahī zarrīn ik ma.aal to hai
junūn-e-shauq kī takmīl ho na ho phir bhī
kisī ke pesh-e-nazar ishq kā savāl to hai
nazar meñ pyaar ishāroñ meñ dil kī baat kā aks
zabāñ pe zāhirī ik un kī qīl-o-qāl to hai
tasavvurāt meñ koī samā rahā hai 'ḳhizar'
qarār phir na sahī azm-e-nek-fāl to hai
Top Urdushayar.com