ik na.ī sub.h kā āġhāz hai anjām ke ba.ad
phir vahī silsila-e-ishq hai ilzām ke ba.ad
jaane kyā hogā mirī sa.ī-e-talab kā hāsil
zehn meñ kuchh nahīñ mahfūz tire naam ke ba.ad
sehn-e-gulshan meñ bahāroñ kā nishāñ tak bhī nahīñ
ḳhaak uḌtī hai faqat gardish-e-ayyām ke ba.ad
sub.h se karb-o-aziyyat kā ye aalam tauba
dard kuchh aur sivā hotā hai har shaam ke ba.ad
us se pahle to har ik azm-o-amal hai be-sūd
qalb-e-muztar ko sukūñ miltā hai ālām ke ba.ad
us ne kuchh aur ḳhitābāt diye haiñ ḳhat meñ
saath vahshī bhī likhā hai mujhe badnām ke ba.ad
merī jānib bhī ḳhizar bazm-e-adū meñ ik din
us kī maḳhsūs nazar thī nigah-e-ām ke ba.ad