kalī kalī ke bajā rāzdār haiñ ham log
chaman ko faḳhr hai jin par vo ḳhaar haiñ ham log
lahū se apne gulistāñ ko sabza-zār kiyā
bahut ḳhulūs ke ā.īna-dār haiñ ham log
haqīr jaan ke Thukrā rahe haiñ ahl-e-chaman
chaman meñ apnī jagah ḳhud bahār haiñ ham log
kuchh aisā gardish-e-daurāñ kā dekhte haiñ fusūñ
ki aaj ahl-e-gulistāñ pe baar haiñ ham log
sitam ye hai ki zamāne kā ġham uThāne par
qarār paate nahīñ be-qarār haiñ ham log
yahī hai dāvat-e-aish-o-nishāt roz-o-shab
ḳhushī kā zikr nahīñ ashk-bār haiñ ham log
hamāre ahd-e-guzishta kī dekhiye tārīḳh
ḳhud apnī shaan meñ zī-iftiḳhār haiñ ham log
qadam qadam pe masā.ib uThā rahe haiñ 'ḳhizr'
ḳhudā-gavāh ki phir ġham-gusār haiñ ham log