qābil-e-dīd ye bhī manzar hai
har ḳhushī ġham kā ek daftar hai
sochtā huuñ yahī mirā ghar hai
kis ke jalvoñ se ab munavvar hai
yād-e-jānāñ are ma.āz-allāh
jaise pahlū meñ ek nashtar hai
un se har chand rasm-o-rāh nahīñ
silsila ġham kā phir barābar hai
kaise ho mustafīz peshānī
sañg-dil jab ki ḳhud tirā dar hai
yak-ba-yak hans paḌā hai dīvāna
har-nafas dekhtā hai shashdar hai
imtihāñ 'ḳhizr' hai vafāoñ kā
us ke hāthoñ meñ aaj ḳhanjar hai