Khizr Barni

zaKHm-e-dil achchha hua pahlu badal jaane ke baad

Khizr Barni

zaḳhm-e-dil achchhā huā pahlū badal jaane ke ba.ad
dil kī dhaḌkan miT ga.ī aañsū nikal jaane ke ba.ad
va.ada-e-rañgīñ se hogā haa.e kyā ḳhaak ehtimām
aarzū ke phuul chuTkī se masal jaane ke ba.ad
kyā kareñ ḳhūn-e-tarab kī surḳhī-e-afsāna ko
rañg-o-bū kī rā.egāñ ghaḌiyoñ ke Tal jaane ke ba.ad
mai uñDelī bhī jo mīnāoñ meñ saaqī ne to kab
shīsha-hā-e-rañg se mausam nikal jaane ke ba.ad
DhūñDte phirte haiñ ḳhud dair-o-haram ke pāsbāñ
hosh-mandān-e-ḳhirad kā dam nikal jaane ke ba.ad
kaun afsurda javānī ko jilā degā 'ḳhizar'
ahd-e-nāv-nosh kī sham.eñ pighal jaane ke ba.ad
Top Urdushayar.com