Imdad Ali Bahr

chunne na diya ek mujhe lakh jhaDe phul

Imdad Ali Bahr

1810-1878
chunñe na diyā ek mujhe laakh jhaḌe phuul
allāh kare ḳhāna-e-gul-chīñ meñ paḌe phuul
ham-palla hue us se na chhoTe na baḌe phuul
āñkhoñ meñ tulā yaar tarāzū meñ paḌe phuul
jā jā ke bahut zulf ke kūche meñ aḌe phuul
lekin na kabhī kaan ke patte se laḌe phuul
vo murġh-e-chaman haiñ ki bahār apnī ḳhizāñ hai
kaliyā.e par-o-bāl jab apne to jhaḌe phuul
kuchh bhī hai jinheñ azm vahī sadr-nashīñ haiñ
hote haiñ gul-rū-e-sabad sab se baḌe phuul
sarsoñ bhī nahīñ phūltī āñkhoñ meñ hamārī
jab tak ki chaḌhā jaa.eñ na do-chār ghaḌe phuul
raushan-suḳhanī ḳhatm hai us ġhuncha-dahan par
hath-phūl ke muñh se kabhī aise na jhaḌe phuul
taqdīr meñ zillat thī gul-rū-e-sanam se
thāloñ ne bahut gor jhañkā.e na gaḌe phuul
rāñgā ho agar dast-baranjan to hai chāñdī
vo gul jo na pahne to haiñ sone ke kaḌe phuul
fariyād kar us dard se ai murġh-e-gulistāñ
kāñTe kī sināñ bāñdh ke gulchīñ se laḌe phuul
kis din na khiñche āh-e-sharar-bār kī talvār
kasarāt na maiñ ne sipar-e-mah meñ jaḌe phuul
kyā jurm hai kis bulbul-e-shaidā ko jalāyā
kyuuñ chār-pahar dhuup meñ hote haiñ khaḌe phuul
kyā sabza-e-ruḳhsār se nisbat hai chaman ko
kāñTe ye vo haiñ jin kī haiñ palle meñ dhaḌe phuul
ham zaḳhmiyoñ ko chāñdnī kī taab nahīñ hai
sahte haiñ kaḌī dhuup nihāyat haiñ kaḌe phuul
dāġhoñ ke hī qābil the ham is baaġh meñ ai 'bahr'
gulchīn-e-muqaddar ne diye haiñ ye saḌe phuul
Top Urdushayar.com