kahāñ se aa gayā kahāñ ye shaam bhī kahāñ huī
na ham-nafas na ham-zabāñ ye shaam bhī kahāñ huī
bujhī nazar bujhe qadam na rāhbar na ham-safar
na rahguzar na kārvāñ ye shaam bhī kahāñ huī
na sham-e-dil na sham.a-e-ruḳh nujūm-e-shab na māh-e-shab
nigāh-o-dil dhuāñ dhuāñ ye shaam bhī kahāñ huī
na gesuoñ kī chhāñv hai na ārizoñ kī chāñdnī
na maañg kī vo kahkashāñ ye shaam bhī kahāñ huī
hayāt-e-ġham ke bojh se dabī dabī thakī thakī
luTī luTī sī bazm-e-jāñ ye shaam bhī kahāñ huī
lagī hai jaise aag sī chitā meñ jal rahā huuñ maiñ
pighal rahe haiñ jism-o-jāñ ye shaam bhī kahāñ huī
'payām' us maqām par hai aaj dil kā kārvāñ
jahāñ zamīñ na āsmāñ ye shaam bhī kahāñ huī