Payam Fatehpuri

kabhi naghma-e-gham-e-arzu kabhi zindagi ki pukar hum

Payam Fatehpuri

Fatehpur, Uttar pradesh, India

1923-2000
kabhī naġhma-e-ġham-e-ārzū kabhī zindagī kī pukār ham
kabhī ḳhāk-e-kūcha-e-yār ham kabhī shahryār-e-bahār ham
kabhī chal paḌe tirī raah meñ to had-e-junūñ se guzar ga.e
tire intizār meñ ho ga.e kabhī naqsh-e-rāh-guzār ham
hameñ kushtagān-e-hayāt se haiñ junūn-e-ishq kī azmateñ
kabhī hañs paḌe tah-e-teġh ham kabhī jhuum uThe sar-e-dār ham
rahe muztarib kabhī muddatoñ ġham-e-dahr kī kaḌī dhuup meñ
jo sukūñ milā hai to so liye kabhī zer-e-gesū-e-yār ham
tujhe pā sakeñ ki na pā sakeñ koī zindagī kī lagan to hai
ki ḳhushī se kaise ujaaḌ deñ tirī aarzū kā dayār ham
ġham-e-zindagī se shikast kyā rah-e-ārzū meñ qadam baḌhā
tū jo saath ho to badal bhī deñ ye mizāj-e-lail-o-nahār ham
kabhī paas aa ke nigāh kar hai ye zindagī tirā aa.ina
tirā ruup ham tirā pyaar ham tirī aarzū kā siñgār ham
Top Urdushayar.com