jo tabassumoñ se ho gul-fishāñ vahī lab hañsī ko taras ga.e
hamīñ shahryār-e-hayāt the hamīñ zindagī ko taras ga.e
ye ajiib sub.h-e-bahār hai koī zindagī kī kiran nahīñ
hamīñ ḳhāliq-e-mah-o-mehr haiñ hamīñ raushnī ko taras ga.e
ye chaman hai kaisā chaman jahāñ tahī-dāmanī hī nasīb hai
ye bahār kaisī bahār hai ki kalī kalī ko taras ga.e
na karam na koī itaab hai koī is adā kā javāb hai
kabhī dostī ko taras ga.e kabhī dushmanī ko taras ga.e
vahī manziloñ se bhaTak ga.e na junūñ ke saath jo chal sake
jo fareb hosh meñ aa ga.e rah-e-āgahī ko taras ga.e
hai ajab nasīb bhī ishq kā na vafā milī na jafā milī
tire iltifāt kī kyā ḳhabar tirī be-ruḳhī ko taras ga.e
maiñ 'payām' kāfir-e-ishq huuñ mirī gumrahī bhī hai bandagī
ki fidā-e-ka.aba-o-dair bhī mirī kāfirī ko taras ga.e