Imdad Ali Bahr

sair us sabza-e-ariz ki hai dushwar bahut

Imdad Ali Bahr

1810-1878
sair us sabza-e-āriz kī hai dushvār bahut
ai dil-e-ābla-pā raah meñ haiñ ḳhaar bahut
lo na lo dil mujhe bhātī nahīñ takrār bahut
muft biktā hai mirā maal ḳharīdār bahut
ḳhush raho yaar agar ham se ho bezār bahut
dil agar apnā salāmat hai to dildār bahut
ġham nahīñ go ham akele haiñ aur aġhyār bahut
haq agar apnī taraf hai to taraf-dār bahut
paañv phailāo na ab to mire paas aane meñ
eḌiyāñ tum ne ragaḌvā.ī haiñ ai yaar bahut
kyā karūñgā maiñ bhalā baaġh ijāre le kar
āshiyānoñ ko haiñ ik musht-e-ḳhas-o-ḳhār bahut
ta.an rindoñ pe na kar shaiḳh ḳhudā-lagtī bol
us ke altāf bahut haiñ ki gunahgār bahut
kyā zamāne meñ mohabbat kā maraz phailā hai
achchhe do-chār nazar aate haiñ bīmār bahut
lambe lambe tire bāloñ kā mujhe saudā hai
tuul khīñgā mirī jaan ye āzār bahut
talḳhī-e-marg kā hargiz mujhe andesha nahīñ
baiThī muñh par hai mire yaar kī talvār bahut
bas tumhārī yahī ḳhū saḳht burī lagtī hai
thoḌī taqsīr pe ho jaate ho bezār bahut
ghar meñ us but ke rasā.ī na huī par na huī
'bahr' ne putlī bhī gaaḌī pas-e-dīvār bahut
Top Urdushayar.com