āñkhoñ se vo kabhī mirī ojhal nahīñ rahā
ġhāfil maiñ us kī yaad se ik pal nahīñ rahā
kyā hai jo us ne duur basā lī haiñ bastiyāñ
āḳhir mirā dimāġh bhī avval nahīñ rahā
laao to sirr-e-dahr ke mafhūm kī ḳhabar
uqda agarche koī bhī mohmal nahīñ rahā
shāyad na pā sakūñ maiñ surāġh-e-dayār-e-shauq
qibla durust karne kā kas-bal nahīñ rahā
dasht-e-fanā meñ dekhā musāvāt kā uruuj
ashraf nahīñ rahā koī asfal nahīñ rahā
hai jis kā taḳht sajda-gah-e-ḳhās-o-ām-e-shahr
maiñ us se milne ke liye be-kal nahīñ rahā
jis dam jahāñ se Doltī Dolī hī uTh ga.ī
tabl o alam to kyā koī manDal nahīñ rahā