harf-e-inkār ki iqrār-e-vafā thā kyā thā
ḳhat meñ ik jumla-e-mub.ham sā likhā thā kyā thā
us kā chehra thā qamar thā ki tasavvur merā
kal munDerī pe koī jalva-numā thā kyā thā
yak-ba-yak ho gayā ojhal vo nazar ke aage
dhund kā ek bagūla sā uThā thā kyā thā
muskurātā thā magar aañkh bhī nam thī us kī
us ke siine meñ koī dard chhupā thā kyā thā
sub.h tak luT gayā sindūr ka.ī māñgoñ kā
shab ke sannāTe meñ ik shor uThā thā kyā thā
bad-duā thī ki duā ye vahī jaane 'hasrat'
zer-e-lab us ne magar kuchh to kahā thā kyā thā